Monday, January 14, 2013

I am Fine My friend





Lo Ho gaye tayar apne aap se
Apni khusiyo ko karne chale barbad apne aap se
Dil k he andar khode de h kabra hamne
sula diya har arma es kabr m

Ab dekhte h waqt kya rang dikyaga
Meri kabr pe sab se pahle kon aayega
jiske karan ye kabr bana kya wo b aayega
dekhte hai k wo waqt phir kab aayega

Thursday, July 7, 2011

Benaam sa yeh dard thahar kyon nahi jaata

Benaam sa yeh dard thahar kyon nahi jaata
jo beet gaya hai woh guzar kyon nahi jaata
Sab kuch to hai kya dhoondti rahti hain nigaahein
Kya baat hai main waqt pe ghar kyoon nahi jaata
jo beet gaya hai vo guzar kyoon nahi jaata
Woh ek hi chahra to nahi saare jahan main
Jo door hai vo dil se utar kyon nahi jata
jo beet gaya hai vo guzar kyoon nahi jaata
Main apni hi uljhi hui raahon ka tamasha
Jaate hai jidhar sab main udhar kyoon nahi jata
jo beet gaya hai vo guzar kyoon nahi jaata
Woh naam jo barson se na chehra hai na badan hai
Woh khwab agar hai to bikhar kyoon nahi jata
jo beet gaya hai vo guzar kyoon nahi jaata.